Faisal Azeem

jise kal raat bhar puja gaya tha

Faisal Azeem

jise kal raat bhar puujā gayā thā
vo but kyuuñ sub.h ko TuuTā huā thā
agar sach kī haqīqat ab khulī hai
to jo ab tak nazar aayā thā kyā thā
agar ye talḳhiyoñ kī ibtidā hai
to ab tak kaun sā amrit piyā thā
khulā hai mujh pe ab duniyā kā matlab
magar ye raaz pahle bhī khulā thā
maiñ jis meñ huuñ ye duniyā muḳhtalif hai
jahāñ maiñ thā vo aalam dūsrā thā
maiñ ḳhud ko maar kar pahuñchā yahāñ tak
to yaad aayā ki maiñ to mar chukā thā
mirī maiñ aur tirī maiñ donoñ hārīñ
maiñ banda huuñ magar tū to ḳhudā thā
maiñ ab jo muñh chhupā.e phir rahā huuñ
to kyā maiñ vāqa.ī chehra-numā thā
Top Urdushayar.com