Imdad Hamdani

kisi ke waste kya kya hamein dukh jhelne honge

Imdad Hamdani

kisī ke vāste kyā kyā hameñ dukh jhelne hoñge
shaboñ ko jāgnā hogā kaḌe din kāTne hoñge
tirī sañgīñ fasīloñ ko to jumbish tak nahīñ aa.ī
havā.eñ le uḌiiñ jin ko vo apne jhoñpaḌe hoñge
bhañvar tak to koī aayā nahīñ mere liye lekin
maiñ bach niklā to sāhil par ka.ī baazū khule hoñge
ḳhizāñ kā zahr saare shahr kī rag rag meñ utrā hai
galī-kūchoñ meñ ab to zard chehre dekhne hoñge
hameñ duniyā kī gardish ye tamāsha bhī dikhā.egī
gharoñ meñ tīrgī hogī muñDeroñ par diye hoñge
koī daulat nahīñ 'imdād' apne dast o dāman meñ
faqat yādoñ ke sikke dil tijorī meñ rakhe hoñge
Top Urdushayar.com