Imdad Hamdani

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

Imdad Hamdani

jo narm lahje meñ baat karnā sikhā gayā hai
vo shaḳhs 'imdād' mujh ko kundan banā gayā hai
mohabbatoñ ke nagar se aayā thā jo payāmī
girā ke dīvār nafratoñ kī chalā gayā hai
maiñ vo musāfir huuñ jis kā koī nahīñ Thikānā
ye nā-rasā.ī kā zaḳhm mujh ko rulā gayā hai
musālahat kā paḌhā hai jab se nisāb maiñ ne
salīqa duniyā meñ zinda rahne kā aa gayā hai
yahāñ ke karbal meñ koī tishna-dahan nahīñ hai
vo fauj nahr-e-furāt par kyuuñ biThā gayā hai
maiñ us musāfir ko yaad kar ke mutma.in huuñ
jo Dher saarī duā.eñ de ke chalā gayā hai
Top Urdushayar.com