shahr-e-ālām kā shahryār aa gayā
sar-barahna mirā tājdār aa gayā
sub.h-e-ḳhandāñ liye rū-e-tābāñ liye
shām-e-ġhurbat tirā ġham-gusār aa gayā
sabr arzāñ huā jabr larzāñ huā
sāhab-e-shān-e-sad-iḳhtiyār aa gayā
nāla-kāro uTho sogvāro uTho
be-qarāro koī be-qarār aa gayā
kā.enāt apnī hai ab hayāt apnī hai
ġhamkasho ġham-zado ġham-gusār aa gayā
taaza ab ġham na kar ḳham ko ab ḳham na kar
sāqiyā hāsil-e-intizār aa gayā
jaam chhalkā diyā sho.ala bhaḌkā diyā
yaad āḳhir zuleḳhā kā pyaar aa gayā
raat khulne lagī chāñdnī dhul ga.ī
māh-vash mah-shikan mah-shi.ār aa gayā
zaḳhm-e-pinhāñ mahak tā.ir-e-jāñ lahak
gul-badan gul-jabīñ gul-e-ezār aa gayā
baat kyuuñ rok lī aañkh kyuuñ nam huī
mujh ko dekho mujhe e.atibār aa gayā
aap socheñ 'nazar' kis liye mast hai
aap ke saath abr-e-bahār aa gayā