dil mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām nahīñ hai
paiġhām ba-andāz-e-paiġhām nahīñ hai
ai jān-e-girāñ sair tirā rahbar-o-rahzan
hai kaun agar vaqt-e-subuk-e-gām nahīñ hai
jo tere dayār-e-ruḳh-o-kākul meñ na guzre
vo sub.h nahīñ hai vo mirī shaam nahīñ hai
is pursish-e-hālāt ke andāz ke qurbāñ
kis tarah kahūñ maiñ mujhe ārām nahīñ hai
kyā baat hai ai talḳhī-e-āzār-e-mohabbat
fihrist-e-shahīdāñ meñ mirā naam nahīñ hai
mai-ḳhāne meñ aur shorish-e-ayyām dar aa.e
afsos ki hāthoñ meñ mire jaam nahīñ hai
aksar lab-e-shā.ir se jo suntā hai zamāna
vo ziist kī āvāz hai ilhām nahīñ hai
ai mast-e-mai-shauq sambhāl apne subū ko
duniyā hai ye ḳhum-ḳhāna-e-ḳhayyām nahīñ hai
ik turfa tamāshā hai 'nazar' terī tabī.at
shā.ir bhī hai aur shahr meñ badnām nahīñ hai