kis tavaqqo.a pe sharīk-e-ġham-e-yārāñ hoñge
yaad ham kis ko bhalā ai dil-e-nādāñ hoñge
raunaq-e-bazm bahut ab bhī suḳhan-dāñ hoñge
un meñ kyā ham se bhī kuchh soḳhta-sāmāñ hoñge
ham pe jo biit ga.e biit ga.ī biit ga.ī
kyā kahīñ aap suneñge to pashemāñ hoñge
yaad ik ġham hai ki fariyād fusūñ hai ki junūñ
dard ke rishte haiñ mushkil se numāyāñ hoñge
tham ga.e ashk ki āñkhoñ meñ chamak lauT aa.e
ye diye shaam Dhalegī to farozāñ hoñge
yaas kī raat meñ har aas ne dam toḌ diyā
jaane kab sub.h ke āsār numāyāñ hoñge
tū salāmat ki tirī bazm meñ ai arz-e-vatan
zindagī hai to kabhī ham bhī ġhazal-ḳhvāñ hoñge
haañ kabhī to nazar ā.eñge 'nazar' vo galiyāñ
jin meñ ḳhurshīd ka.ī ab bhī ḳhirāmāñ hoñge