ik lamha-e-visāl thā vāpas na aa sakā
vo vaqt kī misāl thā vāpas na aa sakā
har ik ko apnā haal sunāne se fā.eda
merā jo ham-ḳhayāl thā vāpas na aa sakā
shāyad mire firāq meñ ghar se chalā thā vo
zaḳhmoñ se pā.emāl thā vāpas na aa sakā
shāyad hujūm-e-sadma-e-furqat ke ghaao se
vo is qadar niDhāl thā vāpas na aa sakā
shāyad maiñ us ko dekh ke sab ko bhulā hī duuñ
us ko ye ehtimāl thā vāpas na aa sakā
kitne ḳhayāl ruup haqīqat kā pā ga.e
jo markaz-e-ḳhayāl thā vāpas na aa sakā
mujh ko mire vajūd se jo kar gayā judā
kaisā vo bā-kamāl thā vāpas na aa sakā
har dam 'ra.īs' vo to nazar ke hai sāmne
terā to ye ḳhayāl thā vāpas na aa sakā