Raees Warsi

main ek kanch ka paikar wo shaKHs patthar tha

Raees Warsi

Karachi, Sindh, Pakistan

1963
maiñ ek kāñch kā paikar vo shaḳhs patthar thā
so paash paash to honā mirā muqaddar thā
tamām raat sahar kī duā.eñ māñgī thiiñ
khulī jo aañkh to sūraj hamāre sar par thā
charāġh-e-rāh-e-mohabbat hī ban ga.e hote
tamām umr kā jalnā agar muqaddar thā
fasīl-e-shahr pe kitne charāġh the raushan
siyāh raat kā pahrā diloñ ke andar thā
agarche ḳhāna-badoshī hai ḳhushbuoñ kā mizāj
mirā makān to kal raat bhī mo.attar thā
samundaroñ ke safar meñ vo pyaas kā aalam
ki farsh-e-āb pe ik karbalā kā manzar thā
isī sabab to baḌhā e'tibār-e-laġhzish-e-pā
hamārā josh-e-junūñ āgahī kā rahbar thā
jo māhtāb hisār-e-shab-e-siyāh meñ hai
kabhī vo raat ke siine pe misl-e-ḳhanjar thā
maiñ us zamīñ ke liye phuul chun rahā huuñ 'ra.īs'
mirā nasīb jahāñ be-amāñ samundar thā
Top Urdushayar.com