chale jā.iyegā mirī anjuman se
ye kyā sun huuñ tumhāre dahan se
bahāroñ ko rañgīñ banāyā hai ham ne
kahāñ jaa.eñ ahl-e-chaman ham chaman se
kaheñ kis se ham kasmapursī kā aalam
vatan meñ haiñ lekin ġharīb-ul-vatan se
mohabbat ke tohfe samajh kar liye haiñ
mile jis qadar rañj dār-e-mehan se
ye hī hogā āḳhir taġhāful kā hāsil
utar jāoge ek din mere man se
ye mahsūs hotā hai sahrā meñ rah kar
ta.alluq hī jaise nahīñ thā chaman se
sunā kar ġhazal aaj mahfil meñ 'ja.afar'
mujhe daad lenī hai ahl-e-suḳhan se