donoñ-jahāñ ko zīnat-e-dāmāñ kiye hue
baiThā huuñ dil meñ aap ko mehmāñ kiye hue
nazzāra-e-jamāl mayassar ho kis tarah
aa.e haiñ aap zulf pareshāñ kiye hue
dīvāne jā rahe haiñ tirī justujū meñ aaj
dāman kī dhajjiyoñ ko garebāñ kiye hue
aao janāb-e-shaiḳh chalo mai-kada chaleñ
arsa huā hai mai-kada vīrāñ kiye hue
kis samt jā rahā hai kidhar le chalā mujhe
kambaḳht dil tasavvur-e-jānāñ kiye hue
'ja.afar' maiñ un kī raah meñ baiThā huuñ muddatoñ
dāġhoñ se dil ke jashn-e-charāġhāñ kiye hue