Jafar Abbas Safvi

jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai

Jafar Abbas Safvi

Meerut, Uttar pradesh, India

1938
jo hasīñ husn-e-taġhāful se guzar jaatā hai
chāhne vāloñ ke vo dil se utar jaatā hai
jis taraf sehn-e-chaman se vo guzar jaatā hai
rañg phūloñ kā kahīñ aur nikhar jaatā hai
aa bhī jaao ki duā maañg rahā huuñ kab se
baat rah jaatī hai aur vaqt guzar jaatā hai
umr-bhar karvaTeñ letā hai vo paikān-e-nazar
aañkh kī raah se jo dil meñ utar jaatā hai
mere kahne se zarā zulf sañvāro to sahī
log kahte haiñ muqaddar bhī sañvar jaatā hai
bahr-e-ġham meñ terī yādoñ kā sahārā le kar
ġham kā tūfāñ bhī mere sar se guzar jaatā hai
yak-ba-yak kaise bhulā duuñ unheñ 'ja.afar' dil se
jaate jaate hī mohabbat kā asar jaatā hai
Top Urdushayar.com