javānī kī umañgoñ kā yahī anjām hai shāyad
chale aao ki va.ade kī suhānī shaam hai shāyad
jo tishna thā kabhī saaqī vo tishna-kām hai shāyad
usī baa.is to nazm-e-mai-kada badnām hai shāyad
hañsī ke saath bhī aañsū nikal aate haiñ āñkhoñ se
ḳhushī to merī qismat meñ barā.e-nām hai shāyad
jise mai-ḳhvār pī ke mai-kade meñ raqs karte haiñ
tirī āñkhoñ kī mastī sāqī-e-gulfām hai shāyad
uḌaa.ī sham.a ne jab ḳhāk-e-parvāna to maiñ samjhā
mohabbat karne vāloñ kā yahī anjām hai shāyad
jo ab tak mai-kashoñ ke paas muddat se nahīñ aa.ī
abhī gardish meñ ḳhud hī gardish-e-ayyām hai shāyad
maiñ dānista ab un ke sāmne ḳhāmosh huuñ 'ja.afar'
ḳhamoshī bhī mirī ab morid-e-ilzām hai shāyad