dasht meñ gulshan meñ har jā kī hai terī justujū
ab kahāñ le jā rahā hai ai fareb-e-rañg-o-bū
aap itnā to batā deñ kab karam hogā huzūr
kab muravvat meñ badal jā.egī ye nafrat kī ḳhū
sādgī-e-dil pe apnī rashk aatā hai mujhe
ik vafā nā-āshnā se hai vafā kī aarzū
ishq kī manzil meñ lākhoñ kārvāñ gum ho ga.e
rahrav-e-rāh-e-mohabbat kyā kareñge justujū
rah ga.e haiñ ab to le de kar dil-e-barbād meñ
hasrat-e-dīdār kā ġham aur terī aarzū
de rahī hai apne dāman kī havā bād-e-sahar
terī zulf-e-ambarīñ hai ik jahān-e-rañg-o-bū
jab kabhī saaqī ne 'ja.afar' apnī nazreñ pher liiñ
mai-kade meñ pī liyā hai maiñ ne armāñ kā lahū