Jafar Abbas Safvi

chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile

Jafar Abbas Safvi

Meerut, Uttar pradesh, India

1938
chaman meñ ḳhaar hī kyā gul bhī dil-figār mile
fareb-ḳhurda-e-rañgīnī-e-bahār mile
maza to jab hai ki vo āftāb-e-sub.h-e-jamāl
gale lipaT ke sar-e-shām-e-intizār mile
nigāh-e-yās se muñh tak rahā huuñ ik ik kā
koī to bazm-e-raqībañ meñ ġham-gusār mile
jinhoñ ne apne lahū se chaman ko sīñchā thā
unhīñ ke jaib-o-garebān taar taar mile
maiñ un ke va.adoñ kā yuuñ bhī yaqīn kartā huuñ
mile mile na mile lutf-e-intizār mile
qafas ke ba.ad chaman meñ ye dekhnā hai mujhe
ḳhizāñ mile ki vahāñ mausam-e-bahār mile
vahī to fikr-e-suḳhan āj-kal kare 'ja.afar'
jise hayāt kā māhaul ḳhush-gavār mile
Top Urdushayar.com