Jafar Abbas Safvi

kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre

Jafar Abbas Safvi

Meerut, Uttar pradesh, India

1938
kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-āsmāñ guzre
ki jin ke farsh pe bhī arsh kā gumāñ guzre
mire sukūt-e-musalsal ko bhī sadā denā
agar idhar se kabhī sorish-e-zamāñ guzre
tujhe ḳhabar hai tirī yaad meñ sar-e-mizhgāñ
tamām raat sitāroñ ke kārvāñ guzre
vahī to haiñ mirī barbād umr kā hāsil
jo hādsāt javānī meñ nā-gahāñ guzre
tilism-e-husn-o-mohabbat nahīñ to phir kyā hai
diloñ kī baat nigāhoñ ke darmiyāñ guzre
tumhāre vāda-e-fardā kī zad meñ jo aa.e
phir us kī raat kahāñ guzre din kahāñ guzre
ab apnā hāl-e-dil-e-zār kyā kahūñ 'ja.afar'
har ek baat mirī un pe jab garāñ guzre
Top Urdushayar.com