Sarfraz Nawaz

laDkhaData hun kabhi KHud hi sambhal jata hun

Sarfraz Nawaz

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1977
laḌkhaḌātā huuñ kabhī ḳhud hī sambhal jaatā huuñ
maiñ bhī rastoñ ke hī bartāo meñ Dhal jaatā huuñ
minnateñ mujh se kiyā karte haiñ dariyā aa kar
aur maiñ pyaas chhupā kar ke nikal jaatā huuñ
din virāsat meñ mujhe raushnī de jaatā hai
vo diyā huuñ ki sar-e-shām hī jal jaatā huuñ
chaak pe aa ke nahīñ chaltī hai marzī merī
ye bahut hai jo kisī shakl meñ Dhal jaatā huuñ
be-sadā sī kisī āvāz ke pīchhe pīchhe
chalte chalte maiñ bahut duur nikal jaatā huuñ
ā.īna roz bharam rakhtā hai qaa.em merā
varna ye sach hai maiñ har roz badal jaatā huuñ
aaj mahfil se tirī uTThā huuñ shā.er ho kar
terī āñkhoñ se liye ek ġhazal jaatā huuñ
Top Urdushayar.com