ek raste kī kahānī jo sunī paanī se
ham bhī is baar nahīñ bhāge pareshānī se
merī be-jān sī āñkhoñ se Dhalakte aañsū
ā.īna dekh rahā hai baḌī hairānī se
mere andar the hazāroñ hī akele mujh se
maiñ ne ik bhiiḌ nikālī isī vīrānī se
maat khaa.e hue tum baiThe ho dānā.ī se
jiit ham le ke chale aa.e haiñ nādānī se
varna miTTī ke ghaḌe jaise badan haiñ saare
ma.arke sar hue sab jur.at-e-īmānī se
ā.īna chupke se manzar vo churā letā hai
tū sajātā hai badan jab kabhī uryānī se