Sarfraz Nawaz

tere KHulus ke qisse suna raha hun main

Sarfraz Nawaz

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1977
tire ḳhulūs ke qisse sunā rahā huuñ maiñ
purānā qarz hai ab tak chukā rahā huuñ maiñ
ḳhudā kare ki vahī baat us ke dil meñ ho
jo baat kahne kī himmat juTā rahā huuñ maiñ
safar kahāñ se kahāñ tak pahuñch gayā merā
ruke jo paañv to kāñdhoñ pe jā rahā huuñ maiñ
samā.atoñ ke sabhī dar yahāñ muqaffal haiñ
na jaane kab se sadā.eñ lagā rahā huuñ maiñ
lagā huuñ aaj hifāzat meñ ḳhud charāġhoñ kī
ka.ī dinoñ to muḳhālif havā rahā huuñ maiñ
ye aql, hosh, nazar, ḳhvāb, lams, goyā.ī
lo aaj daa.v pe sab kuchh lagā rahā huuñ maiñ
ki jab bhī chāheñ unheñ DhūñD leñ mirī āñhkeñ
is ehtiyāt se manzar sajā rahā huuñ maiñ
mire baġhair koī tum ko DhūñDtā kaise
tumheñ pata hai tumhārā pata rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com