Sarfraz Nawaz

mujhko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun

Sarfraz Nawaz

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1977
mujh ko honā hai to darvesh ke jaisā ho jā.ūñ
manzileñ sab ke liye aur maiñ rasta ho jā.ūñ
kitnā dushvār hai ik lamha bhī apnā honā
us ko zid hai ki maiñ har haal meñ us kā ho jā.ūñ
maiñ ne āñkhoñ ko tirī ġhaur se dekhā hai bahut
ye to mumkin hī nahīñ hai ki maiñ andhā ho jā.ūñ
jo harārat hai badan meñ vo tire lams kī hai
tū mujhe gar na chhue miTTī kā tuudā ho jā.ūñ
is qadar lutf bikharne meñ milā hai mujh ko
maiñ ne koshish hī nahīñ kī kabhī yakjā ho jā.ūñ
phir ye Dartā huuñ ḳhudā jaane bhalā kaisā ho
jī meñ aatā hai kabhī apnā bhī chehra ho jā.ūñ
ġhā.ebāna hī sahī merā ta.āruf ho jaa.e
maiñ kahānī kā kisī tarah se hissa ho jā.ūñ
is tarah yaad tirī aa ke uchak le mujh ko
daf.atan bhiiḌ meñ chalte hue tanhā ho jā.ūñ
in tabīboñ ko ilāj-e-ġham-e-dil kyā ma.alūm
tum ayādat ko chale aao to achchhā ho jā.ūñ
yuuñ hī miTTī meñ paḌā ek hunar huuñ maiñ bhī
jauharī mujh ko parakh le to maiñ hiirā ho jā.ūñ
tū nahīñ yaad nahīñ koī nahīñ maiñ bhī nahīñ
aur kuchh aur maiñ kuchh aur akelā ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com