balā se naam vo merā uchhāl detā hai
magar jo zahr hai dil kā nikāl detā hai
bahut qarīb hai mere bahut qarīb hai vo
koī kisī ko yūñhī kab malāl detā hai
maiñ sotā rahtā huuñ aur jaane kab ḳhudā merā
añdherī raat ko sūraj meñ Dhaal detā hai
ham apne ḳhvāb jo āñkhoñ meñ lā ke rakhte haiñ
ijāzateñ hameñ is kī ḳhayāl detā hai
badan pe apne Thaharne ke ek lamhe meñ
ye lams ruuh kī parteñ ujaal detā hai