tumhāre ba.ad jo bikhre to kū-ba-kū hue ham
phir is ke ba.ad kahīñ apne rū-ba-rū hue ham
tamām umr havā kī tarah guzārī hai
agar hue bhī kahīñ to kabhū kabhū hue ham
yuuñ gard-e-rāh bane ishq meñ simaT na sake
phir āsamān hue aur chār-sū hue ham
rahī hamesha darīda qabā-e-jism tamām
kabhī na dast-e-hunar-mand se rafū hue ham
ḳhud apne hone kā har ik nishāñ miTā Daalā
'shanās' phir kahīñ mauzū-e-guftugū hue ham