itnā karam ki azm rahe hausla rahe
is dil ke saath dard kā rishta sadā rahe
apnī anā ke saath jiye kaj-adā rahe
ab is kā kyā malāl ki be-dast-o-pā rahe
ḳhud-sāḳhta ḳhudāoñ kā mujh ko nahīñ hai ḳhauf
terī navāzishoñ kā bas ik silsila rahe
ādāb-e-dostī se to vāqif kabhī na the
tahzīb-e-dushmanī se bhī nā-āshnā rahe
ye bhī hamāre daur kā ik alamiya hī hai
rahne ko saath saath rahe par judā rahe