usī yaqīn usī dast-o-pā kī hājat hai
imām-e-vaqt ko phir karbalā kī hājat hai
kahīñ na tujh ko tirā shauq be-libās kare
tire junūñ ko jo merī qabā kī hājat hai
kahāñ se aa.e abābīl abrha ke liye
tire bashar ko to māl-o-ġhinā kī hājat hai
ajiib tarz-e-takallum hai ahl-e-mansab kā
bahut dinoñ se kisī ḳhush-adā kī hājat hai
tamām harb-o-jadal aazmā ke haar ga.e
uThāo dast-e-duā ab duā kī hājat hai