barsoñ ba.ad jo dekhā us ko sar par uljhā joḌā thā
jism bhī thoḌā phail gayā thā rañg bhī kuchh kuchh melā thā
tum bhī jis ko dekh rahe the vo jo ek akelā thā
dublā patlā uljhā hairāñ armānoñ kā melā thā
jhiil kā shīsha niile bādal ke hoñToñ se bhīgā thā
duur talak shāḳhoñ ke nīche sabz añdherā phailā thā
bin dastak bhī khole rakkhe ham ne apne band kivāḌ
lekin haa.e bhaag hamārā koī na milne aayā thā
tum ye samjhe dekh rahī thī tum ko lekin tum kyā jaano
ruup tumhārā hī thā vaise ruup meñ kis kā saayā thā