Yusuf Taqi

pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

Yusuf Taqi

Kolkata, West Bengal, India

1943
pTriyoñ kī chamaktī huī dhaar par fāsle apnī gardan kaTāte rahe
dūriyāñ manziloñ kī simaTtī rahīñ lamha lamha vo nazdīk aate rahe
zinda machhlī kī shāyad taḌap thī unheñ saare bagule samundar kī jānib uḌe
ret ke zard kāġhaz pe kuchh soch kar naam likh likh ke terā miTāte rahe
narm chāhat kī phailī huī ghaas ko vaqt ke saḳht patthar na rauñdeñ kaheñ
bas yahī ḳhauf apnī nigāhoñ meñ thā muskurāne ko ham muskurāte rahe
chilchilātī huī dhuup kī aañch meñ yuuñ jhulasnā to apnā muqaddar rahā
zehn meñ narm-o-nāzuk ghanī chhāñv se tere āñchal magar sarsarāte rahe
yaas kī ḳhushk Tahnī pe kaise lagā baur ḳhvāboñ kā mujh se na kuchh pūchhnā
zindagī lamha lamha mujhe mil ga.ī qatra qatra vo chāhat luTāte rahe
Top Urdushayar.com