Sabir Zafar

waqif KHud apni chashm-e-gurezan se kaun hai

Sabir Zafar

1949
vāqif ḳhud apnī chashm-e-gurezāñ se kaun hai
mānūs ab mire dil-e-vīrāñ se kaun hai
kis ko ḳhabar hai kis ghaḌī āñkheñ chhalak paḌeñ
ab āshnā tahayya-e-tūfāñ se kaun hai
dekheñ jise ḳhalal hai usī ke dimāġh meñ
sarshār ab tasavvur-e-jānāñ se kaun hai
vo zulm shahr meñ hai ki andher hai koī
vābasta rasm-e-jashn-e-charāġhāñ se kaun hai
dekho jise vahī hai giraftār-e-ārzū
ab duur is navāh meñ zindāñ se kaun hai
maqtal meñ jis ko apne lahū se jalāyā thā
pur-nūr us ek sham-e-farozāñ se kaun hai
chehroñ kī zardiyoñ se 'zafar' ho muvāzana
nazdīk rañg-e-dasht-o-bayābāñ se kaun hai
Top Urdushayar.com