Parveen Kumar Ashk

safar mein dhup hai to saeban bhi hoga

Parveen Kumar Ashk

1951
safar meñ dhuup hai to sā.ebān bhī hogā
zamīn hogī jahāñ āsmān bhī hogā
ḳhabar kahāñ thī ki ye ruuh ek masjid hai
siyah vajūd meñ nūr-e-azān bhī hogā
tire badan pe ye būḌhā safed sar kaisā
jadīd bachche batā kyā javān bhī hogā
mirī pasand ke afrād jis meñ rahte haiñ
zamīñ pe aisā koī ḳhāndān bhī hogā
sunā hai shahr-e-ḳhamoshāñ meñ aa gayā huuñ maiñ
yahīñ kahīñ koī merā makān bhī hogā
vo mujh se bichhḌā maiñ ro-dho ke 'ashk' bhuul gayā
patā nahīñ thā ki dil par nishān bhī hogā
Top Urdushayar.com