Shevan Bijnauri

hoti hai labon par KHamoshi aankhon mein mohabbat hoti hai

Shevan Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1932
hotī hai laboñ par ḳhāmoshī āñkhoñ meñ mohabbat hotī hai
jab un se nigāheñ miltī haiñ us vaqt ye hālat hotī hai
rañgīni-e-bazm-e-duniyā meñ aisā bhī zamāna aatā hai
vo dard qazā ban jaatā hai jis dard meñ rāhat hotī hai
ye tujh pe falak ne zulm kiyā vo mujh se judā maiñ un se judā
ḳhushiyāñ to manāo ahl-e-jahāñ barbād mohabbat hotī hai
aate haiñ vo sair-e-gulshan ko kāñToñ se bachā.e dāman ko
hoñToñ pe tabassum hai un ke āñkhoñ se sharārat hotī hai
dekhā hai hamārī āñkhoñ ne ye baat haqīqat hotī hai
har shaḳhs mehrbāñ hotā hai jab us kī ināyat hotī hai
tanhā.ī ke aalam meñ aksar dil us se bahaltā hai 'shevan'
tārīki-e-shām-e-hijrāñ meñ ġham kī bhī zarūrat hotī hai
Top Urdushayar.com