ham ek din nikal aa.e the ḳhvāb se bāhar
so ham ne rañj uThā.e hisāb se bāhar
isī umiid pe guzrī hai zindagī saarī
kabhī to ham se miloge hijāb se bāhar
tumhārī yaad nikaltī nahīñ mire dil se
nasha chhalaktā nahīñ hai sharāb se bāhar
kisī ke dil meñ utarnā hai kār-e-lā-hāsil
ki saarī dhuup to hai āftāb se bāhar
'shanās' khol diye jis ne ham pe sab asrār
vo ek lafz milā hai kitāb se bāhar