Shevan Bijnauri

mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai

Shevan Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1932
mausam bhī ḳhush-gavār zamāna bhī raas hai
lekin tire baġhair mirā jī udaas hai
ai husn-e-pur-hijāb zarā sāmne to aa
in tishna-lab nigāhoñ ko jalve kī aas hai
arsa huā hai tark-e-mohabbat kiye hue
phir bhī na jaane kyuuñ tere milne kī aas hai
kahte haiñ kis ko ishq mujhe ye ḳhabar nahīñ
ik mīThā mīThā dard mere dil ke paas hai
yuuñ to bahut haiñ duniyā meñ zī-rūh hastiyāñ
bas aadmī vahī hai ki jo ġham-shanās hai
bas aap kā hī naam hai vird-e-zabāñ huzūr
ye saarī zindagī kā merī iqtibās hai
'shevan' ye iztirāb-e-mohabbat kā hai karam
dil kyā udaas saarā zamāna udaas hai
Top Urdushayar.com