Shevan Bijnauri

meri aah be-asar hai main asar kahan se laun

Shevan Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1932
mirī aah be-asar hai maiñ asar kahāñ se lā.ūñ
tire paas tak jo pahuñche vo nazar kahāñ se lā.ūñ
mujhe bhuul jaane vaale tujhe kis tarah bhulā.ūñ
jise dard raas aa.e vo jigar kahāñ se lā.ūñ
mire rizq-e-bandagī ko tire dar se vāsta hai
jo jhuke barū-e-kāba maiñ vo sar kahāñ se lā.ūñ
mire paas dil ke TukḌe mire paas ḳhuuñ ke aañsū
tū hai sīm-o-zar kī devī to maiñ zar kahāñ se lā.ūñ
shab-e-ġham ke ye andhere mirā saath de rahe haiñ
jo miTā.e zulmatoñ ko vo sahar kahāñ se lā.ūñ
vahī barq jis ne gir kar mirī zindagī jalā dī
maiñ usī ko DhūñDtā huuñ vo sharar kahāñ se lā.ūñ
mirī zindagī hai 'shevan' kuchh ajiib kashmakash meñ
vo asar ko chāhte haiñ maiñ asar kahāñ se lā.ūñ
Top Urdushayar.com