Shevan Bijnauri

wo raqs karne lagin hawaen wo badliyon ka payam aaya

Shevan Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1932
vo raqs karne lagīñ havā.eñ vo badliyoñ kā payām aayā
ye kis ne bikhrā.īñ ruḳh pe zulfeñ ye kaun bālā-e-bām aayā
mujhe ḳhushī hai ki aaj merā junūñ bhī yuuñ mere kaam aayā
samajh ke dīvāna-e-mohabbat tumhāre hoñToñ pe naam aayā
mujhe surāhī se kyā ġharaz hai merā nasha asl meñ alag hai
idhar tumhārī nigāh uTThī udhar surūr-e-davām aayā
ye husn faanī hai merī jaañ ye javāniyoñ pe ġhurūr kaisā
jahāñ chaḌhā mehr-e-nīm-rozī usī jagah vaqt-e-shām aayā
chahaktī ye bulbuleñ ye gulchīñ chaman pe haq hai sabhī kā lekin
kisī ke hisse meñ phuul aa.e kisī ke hisse meñ daam aayā
diyā mujhe maut ne sambhālā lahad meñ bhī ho gayā ujālā
ye qabr par kis ne gul chaḌhā.e ye kaun māh-e-tamām aayā
na to faūlun na fā.elātun na bahr koī na koī taḳhtī
ye hai ināyat kisī kī 'shevan' tujhe shu.ūr-e-kalām aayā
Top Urdushayar.com