Shevan Bijnauri

gham se bhige hue naghmat kahan se laun

Shevan Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1932
ġham se bhīge hue naġhmāt kahāñ se lā.ūñ
dard meñ Duubī huī baat kahāñ se lā.ūñ
jin meñ yādoñ ko tirī jhoñk duuñ jalne ke liye
vo sulagte hue din raat kahāñ se lā.ūñ
jo pasand aa.e tujhe ḳhūn-e-jigar ke badle
sone chāñdī kī vo sauġhāt kahāñ se lā.ūñ
dil bhī tishna hai mirī ruuh bhī tishna hai magar
tere jalvoñ kī vo barsāt kahāñ se lā.ūñ
tere vaade jo tujhe yaad dilā.eñ zālim
haa.e maazī ke vo lamhāt kahāñ se lā.ūñ
jab mire bhaag meñ tanhā.ī kā añdhiyārā hai
phir bhalā prem kī parbhāt kahāñ se lā.ūñ
dil mirā rotā hai tanhā.ī meñ pahroñ 'shevan'
vo buzurgoñ kī hidāyāt kahāñ se lā.ūñ
Top Urdushayar.com