Atul Ajnabi

bhali ho ya ki buri har nazar samajhta hai

Atul Ajnabi

Akbarpur, Uttar pradesh, India

bhalī ho yā ki burī har nazar samajhtā hai
har ek shaḳhs kī aahaT ko ghar samajhtā hai
har ek dar ko vo apnā hī dar samajhtā hai
magar zamāna use dar-ba-dar samajhtā hai
phal aur shāḳh samajhne meñ chuuk jaa.eñ magar
hai kis jagah kā parinda shajar samajhtā hai
kuchh is tarah se dikhātā hai vo hunar apnā
ki jaise sab ko yahāñ be-hunar samajhtā hai
Top Urdushayar.com