Atul Ajnabi

nigah koi to tufan mein mehrban si hai

Atul Ajnabi

Akbarpur, Uttar pradesh, India

nigāh koī to tūfāñ meñ mehrbān sī hai
har ek mauj samundar kī pā.edān sī hai
har ek shaḳhs ko gāhak samajh ke ḳhush rakhnā
ye zindagī bhī hamārī koī dukān sī hai
maiñ āsmāñ kī tarah muddatoñ se Thahrā huuñ
badan meñ phir bhī zamīñ jaisī kuchh thakān sī hai
dukhoñ kā kyā hai ye aate haiñ tiir kī mānind
ḳhushī hamesha mire vāste kamān sī hai
qadam sambhāl ke rakhnā hasīn rāhoñ par
phisal ga.e to phir aage baḌī Dhalān sī hai
zabān muñh meñ hamāre thī jab ġhulām the ham
hamāre muñh meñ magar ab to bas zabān sī hai
ab aa.e din hī nikaltā hai āñsuoñ kā julūs
hamārī aañkh musalsal lahūluhān sī hai
Top Urdushayar.com