sar par hamāre sāya-e-dīvār bhī nahīñ
sūraj sā ham faqīroñ kā ghar-bār bhī nahīñ
mujh se ta.alluqāt kā iqrār bhī nahīñ
aur koī pūchhtā hai to inkār bhī nahīñ
gahrā.ī us nadī kī bhalā kyā patā lage
jis meñ bhañvar nahīñ koī mañjhdār bhī nahīñ
jis ko tamām umr amal meñ na lā sake
aisī vo raa.e dene kā haqdār bhī nahīñ
sāñsoñ kī Dor thāme chalī jā rahī hai umr
varna kisī se koī sarokār bhī nahīñ