ik thakan quvvat-e-iz.hār meñ aa jaatī hai
vaqt ke saath kamī pyaar meñ aa jaatī hai
bas kahīñ chhor samundar kā nazar aa jaa.e
koī tāqat mirī patvār meñ aa jaatī hai
vo guzartā hai to khulte haiñ darīche ghar ke
ik chamak sī dar-o-dīvār meñ aa jaatī hai
TuuTe ghuñghrū kī jo āvāz huā kartī hai
vo khanak kyuuñ mirī guftār meñ aa jaatī hai
jab bhī aatā hai mirā naam tire hoñToñ par
ḳhushbū-e-gul mire ash.ār meñ aa jaatī hai
har ghaḌī apnī tamannāoñ se laḌte laḌte
ik chamak chehra-e-ḳhuddār meñ aa jaatī hai
jab ġhazal 'mīr' kī paḌhtā hai paḌosī merā
ik namī sī mirī dīvār meñ aa jaatī hai