husn alfāz ke paikar meñ agar aa saktā
kaisā hotā hai ḳhudā tum ko maiñ dikhlā saktā
is safar pe huuñ ki halkān huā jaatā huuñ
aur kahāñ jaanā hai ye bhī nahīñ batlā saktā
hārnā bhī hai yaqīnī pe mirī fitrat hai
ek hī chaal hamesha nahīñ dohrā saktā
zindagī ab tū mujhe aur khilaune lā de
aaise ḳhvāboñ se to maiñ dil nahīñ bahlā saktā
maiñ bhī taqdīr ke likkhe pe yaqīñ le aatā
vaqt ik baar jo us se mujhe milvā saktā