Atul Ajnabi

jab uske samne suraj hawa nadi kya hai

Atul Ajnabi

Akbarpur, Uttar pradesh, India

jab us ke sāmne sūraj havā nadī kyā hai
ham aadmī haiñ hamārī bisāt hī kyā hai
bichhaḌ ke ghar se yahī sochtā huuñ maiñ din-rāt
shajar se TuuT ke pattoñ kī zindagī kyā hai
jale magar jo na raushan hue zamāne meñ
vahī charāġh samajhte haiñ raushnī kyā hai
bas ek raat kā mehmān hai parinda yahāñ
use pata hī nahīñ shāḳh chāhtī kyā hai
hamāre aañsū jo chāheñ to ġharq ho duniyā
hamāre baare meñ duniyā ye jāntī kyā hai
kabhī ḳhamosh kabhī tez-rau biphartī hai
pahāḌ se koī pūchhe zarā nadī kyā hai
Top Urdushayar.com