daraḳht dhuup se laḌtā hai is qadar din-bhar
phaloñ se shāḳhoñ se rahtā hai be-ḳhabar din-bhar
na ābshār na panchhī na jānvar na daraḳht
ajiib dasht meñ kartā rahā safar din-bhar
Dhalī jo shaam to bachche sā so gayā sūraj
dikhā rahā thā ka.ī tarah ke hunar din-bhar
mire nasīb meñ kyā aur kuchh likhā hī nahīñ
safar meñ rahtā huuñ ghar par maiñ rāt-bhar din-bhar
saverā hote hī sab kaam par nikalte haiñ
udaas udaas sā rahtā hai merā ghar din-bhar
qubūl kaise duā ho bhalā charāġhoñ kī
ki apnī jaan bhī rah jaa.e mo'atabar din-bhar