merā nahīñ hai aur na kisī aur hī kā hai
partav jahāñ kahīñ hai tirī raushnī kā hai
panchhī daraḳht phuul to muñh Dhak ke so ga.e
jañgal meñ rāj-pāT bas ab chāñdnī kā hai
luTne kā Dar sahī pa mohabbat kī raah meñ
jaanā to usī galī se har ik aadmī kā hai
barsoñ purānā zaḳhm hai aisā harā magar
dekhe tabīb to vo kahe aaj hī kā hai
ghar jal rahā hai sāmne us ko bachā.iye
phir us ke ba.ad aglā makāñ aap hī kā hai