DhūñDhtā haq ko dar-ba-dar hai tū
vaa.e apne se be-ḳhabar hai tū
shān-e-haq āshkār hai tan se
mujid-e-kull-e-ḳhair-o-shar hai tū
ek meñ kyā vajūd-e-jumla-zuhūr
kul meñ ḳhud aap bā-asar hai tū
qudrat-e-kāmila ko ġhaur to kar
bahr-e-yaktā.ī kā guhar hai tū
miiT apnī ḳhudī ḳhudā ko pā
naf.a hāsil ho kyā agar hai tū
muqtadir aap har sabab kā hai
is liye ho gayā bashar hai tū
ḳhair-o-shar ke hijāb meñ kab tak
zulmat-e-kufr kā sahar hai tū
terī hī shān-e-kul huvaidā hai
banda kahtā hai kyuuñ kidhar hai tū
aap har shai meñ jalva-farmā haiñ
be-ḳhabar kyā hai bā-ḳhabar hai tū
mujh pe ilzām aa nahīñ saktā
har tarah se idhar udhar hai tū
koī kuchh qalb kyā kare tujh ko
be-ġhul-o-ġhash vo saaf zar hai tū
kah rahā hai hamesha innī anā
jumla a.amā kā rāhbar hai tū
jo hai manzūr ho rahā vahī
kis natīje kā muntazar hai tū
bil-yaqīñ haq kī shaan hai terī
muḳhtasar ye hai muḳhtasar hai tū
naam terā ḳhudā-numā hai hijāb
dīda-e-dīd kā basar hai tū
koī paatā nahīñ tujhe 'markaz'
dū-ba-dū aap jalva-gar hai tū