aap ko bhuul ke maiñ yād-e-ḳhudā kartā huuñ
ḳhud anā kahtā huuñ maujūd baqā kartā huuñ
kufr-o-islām kā mūjid huā banda ho kar
phir vo maiñ kaun huuñ jo ḳhud huuñ kahā kartā huuñ
ilm-e-a.adād se hotā hai hijāb-e-akbar
ek har haal meñ huuñ kul meñ rahā kartā huuñ
huuñ basārat meñ nihāñ uzr hai bīnā.ī kā
roz-e-raushan meñ hī ḳhud aap rahā kartā huuñ
be-samajh naam ḳhudā kā vo liyā karte haiñ
pūchhtā huuñ to ye kahte haiñ sunā kartā huuñ
jism-e-ḳhākī na samajh yaar kā bas jalva hai
yaad aur bhuul se maiñ dil ko ziyā kartā huuñ
maiñ samajhtā huuñ ḳhudā aap ko banda ban kar
haañ isī shaan kā 'markaz' huuñ kahā kartā huuñ