DhūñDh ham un ko pareshān bane baiThe haiñ
vo to parda liye insān bane baiThe haiñ
zauq hāsil unheñ hotā hai har yak sūrat se
rañg-o-be-rañgī se har aan bane baiThe haiñ
chhoḌ masjid ko ga.e dair meñ puujā karne
the musalmān vo rahbān bane baiThe haiñ
baat ye hai ki hayūlā se hai sūrat paidā
har yak ajsām meñ rahmān bane baiThe haiñ
taaza har aan dikhāte haiñ vo jalva apnā
har ta.ayyun ke liye shaan bane baiThe haiñ
haiñ masīhā kahīñ bīmār kahīñ dard kahīñ
har tarah se vahī darmān bane baiThe haiñ
kufr-o-islām ke parde se haiñ har haal meñ ḳhush
vājib ā.īna se imkān bane baiThe haiñ
sach to ye hai ki haqīqat jo hai un kī ma.alūm
jānte jo haiñ vo anjān bane baiThe haiñ
jumla advār o shayūnāt se jalva karte
shān-e-'markaz' meñ vo sub.hān bane baiThe haiñ