apnā pata mujhe batā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
tujh pe haiñ saare mubtalā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
nām-e-ḳhudā sunā kiyā tere sivā nahīñ milā
saarī sifat se hai bharā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
terā hasad to naam thā ho gayā banda kis tarah
terī hī zaat hai baqā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
tere se hast kul huī thī tū adam meñ be-nishāñ
haadī muzil hai barmalā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
mālik-e-do-jahāñ hai tū chāhe jise atā kare
kar de gadā ko bādshā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
tere karam se ai shahā maiñ ne ḳhudā-numā huā
thā tū fanā baqā milā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai
'markaz'-e-jumla-kā.enāt maz.har-e-zāt-e-kibriyā
tere sivā nahīñ huā bahr-e-ḳhudā tū kaun hai