ġhaflat ajab hai ham ko dam jis kā mārte haiñ
maujūd hai nazar meñ jis ko pukārte haiñ
ham ā.īna haiñ haq ke haq ā.īna hai apnā
mastī meñ apnī har dam dam haq kā mārte haiñ
ham apne aap tālib matlūb aap ham haiñ
is khel meñ hamesha ham ḳhud ko hārte haiñ
jannat kī ham ko ḳhvāhish dozaḳh kā Dar nahīñ hai
be-asl muft vaa.iz ham ko ubhārte haiñ
zāhir hai haq kā jalva gar aañkh ho to dekhe
'markaz' ḳhudā ko aalam bhūle pukārte haiñ