jahāñ baat vahdat kī gahrī rahegī
vahāñ fikr apnī na terī rahegī
lajājat amīroñ se yak-dam uThā de
qanā.at se apnī faqīrī rahegī
na jiine kī ḳhvāhish na marne kā ġham hai
jo hālat hai apnī vo Thahrī rahegī
mujalla huā jab se dil hai hamārā
na marqad meñ apne añdherī rahegī
ghamanD har tarah karnā zebā nahīñ hai
javānī kisī kī na piirī rahegī
ḳhudā.ī kī qudarat ḳhudī se hai 'markaz'
muqallid haiñ jab tak asīrī rahegī