yād-e-ḳhudā se aayā na īmāñ kisī tarah
kāfir bane na ham na musalmāñ kisī tarah
karte ho va.ada aane kā hai aañkh muntazar
kab tak guzāre din ye hai mehmāñ kisī tarah
āzād ishq-e-yār ne ham ko banā diyā
māl-o-matā' kā huuñ na maiñ ḳhvāhāñ kisī tarah
piite raho sharāb jahāñ tak ki ho sake
shāġhil na chhūTe saaqī kā dāmāñ kisī tarah
aa jāveñ gar nasīb se aalam hai naza.a kā
nikle hamāre dil ke bhī armāñ kisī tarah
mar jā.ūñ un ke tīr-e-nigah se najāt ho
gardan pe mere un kā ho ehsāñ kisī tarah
zindāñ haiñ phañs gayā dil-e-muztar nigāh ke
baiThe haiñ pāsbāñ bane mizhgāñ kisī tarah
ba.ad-e-fanā bhī qabr ko mismār kar diyā
iz.hār-e-rañj kā na ho sāmāñ kisī tarah
advār meñ agarche hai 'markaz' ghirā huā
chhoḌe na tujh ko rahmat sub.hāñ kisī tarah