Yasin Ali Khan Markaz

aashiqi ke aashkare ho chuke

Yasin Ali Khan Markaz

āshiqī ke āshkāre ho chuke
husn-e-yaktā ke pukāre ho chuke
uTh gayā parda jo fī-mābain thā
mann-o-tū ke the ishāre ho chuke
hai bahār-e-gulshan-e-duniyā do roz
bulbul-o-gul ke nazāre ho chuke
chal diye uTh kar jahāñ chāhe vahāñ
ek rañgī ke sahāre ho chuke
yaas se kah deñge vaqt-e-qatl ham
ham to ai pyāre tumhāre ho chuke
vāsil-e-dariyā jo qatra ho gayā
ġhairiyat ke the pukāre ho chuke
gulshan-e-hastī meñ dekhī thī bahār
auj par jo the sitāre ho chuke
varta-e-dariyā kā ġham jaatā rahā
ġhota khāte the kināre ho chuke
nek-o-bad se tum ko 'markaz' kyā ġharaz
duur dushman the tumhāre ho chuke
Top Urdushayar.com