dil-e-tabāh ko ab tak nahīñ yaqīñ aayā
ki shaam biit ga.ī aur tū nahīñ aayā
jahāñ se maiñ ne kiyā thā kabhī safar āġhāz
maiñ ḳhaak dhuul huā lauT kar vahīñ aayā
vo jis ke haath se taqrīb-e-dil-numā.ī thī
abhī vo lamha-e-maujūd meñ nahīñ aayā
bas ek baar mirī niiñd chhū gayā koī
phir is ke ba.ad har ik ḳhvāb-e-dil-nashīñ aayā
bichhaḌ ke tujh se tirī yaad bhī nahīñ aa.ī
makāñ kī samt palaT kar makīñ nahīñ aayā